'अनुपम मिश्र एक अत्यन्त विनम्र, निरभिमानी व्यक्ति थे जिन्होंने पर्यावरण के क्षेत्र में साधारण और सामुदायिक विवेक और विधि का जैसा अवगाहन किया वैसा आधुनिक टेकनॉलजी के दुश्चक्र में फँसे अन्य पर्यावरणविद् अकसर नज़रन्दाज़ करते रहे हैं। अनुपम जी लगभग ज़िद कर अपनी इस धारणा पर डटे रहे कि साधारण लोग और समुदाय पढ़े-लिखों से ज़्यादा जानता-समझता है और आधुनिकता को अपनी सर्वज्ञता के दम्भ से मुक्त हो सकना चाहिए। उनसे बातचीत का यह संचयन इस अनूठे व्यक्ति के सोच-विचार की नई परतें सहजता से खोलेगा, ऐसा हमारा विश्वास है।"
—अशोक वाजपेयी Anupam mishr ek atyant vinamr, nirabhimani vyakti the jinhonne paryavran ke kshetr mein sadharan aur samudayik vivek aur vidhi ka jaisa avgahan kiya vaisa aadhunik tekanaulji ke dushchakr mein phanse anya paryavaranvid aksar nazrandaz karte rahe hain. Anupam ji lagbhag zid kar apni is dharna par date rahe ki sadharan log aur samuday padhe-likhon se zyada janta-samajhta hai aur aadhunikta ko apni sarvagyta ke dambh se mukt ho sakna chahiye. Unse batchit ka ye sanchyan is anuthe vyakti ke soch-vichar ki nai parten sahajta se kholega, aisa hamara vishvas hai. "—ashok vajpeyi