नसीम साकेती निरन्तर लेखन में सक्रिय हैं, शाश्वत मूल्यों को समेटता इनका कथा जगत् बहुआयामी रहा है। क़लम की नोक को स्पर्श करती इनकी जीवन्त कहानियाँ अपने समय के यथार्थ तथा मानव जीवन-मूल्यों को विभिन्न कोणों से पड़ताल करती विशिष्ट शैली में सुखद एहसास देती हैं।
लेखक के मस्तिष्क की शिराओं ने छोटी-छोटी रोज़मर्रा की घटनाओं में से कथा-तत्त्वों के फूल चुनकर उनसे कथा के विभिन्न आकार के गुलदस्ते तैयार किए हैं। जिनसे आम आदमी की ज़िन्दगी की ख़ुशबू पाठक के मन-मस्तिष्क में भरकर दिल की गहराइयों में उतर जाती है और पाठक सोचने लगता है कि ऐसी घटनाओं तथा चरित्रों को तो हम अपने इर्द-गिर्द रोज़ देखते तथा महसूस करते हैं, जिसे लेखक ने शब्दों के माध्यम से कहानी का जामा पहना दिया है। Nasim saketi nirantar lekhan mein sakriy hain, shashvat mulyon ko sametta inka katha jagat bahuayami raha hai. Qalam ki nok ko sparsh karti inki jivant kahaniyan apne samay ke yatharth tatha manav jivan-mulyon ko vibhinn konon se padtal karti vishisht shaili mein sukhad ehsas deti hain. Lekhak ke mastishk ki shiraon ne chhoti-chhoti rozmarra ki ghatnaon mein se katha-tattvon ke phul chunkar unse katha ke vibhinn aakar ke guldaste taiyar kiye hain. Jinse aam aadmi ki zindagi ki khushbu pathak ke man-mastishk mein bharkar dil ki gahraiyon mein utar jati hai aur pathak sochne lagta hai ki aisi ghatnaon tatha charitron ko to hum apne ird-gird roz dekhte tatha mahsus karte hain, jise lekhak ne shabdon ke madhyam se kahani ka jama pahna diya hai.