Anugoonj Zindagi Ki
Publisher | Rajkamal |
Item Weight | 0.25 kg |
Anugoonj Zindagi Ki
कुसुम खेमानी अपने कथा-साहित्य के लिए मनुष्य के परिष्कार से समाज-संस्कृति का परिष्कार और समाज-संस्कृति के परिष्कार से मनुष्य के परिष्कार का विधान और वितान जिस कलात्मकता से रचती हैं, वह अद्भुत ही नहीं, विलक्षण है। विलक्षण है एक पुरुष के भीतर एक स्त्री और एक स्त्री के भीतर एक पुरुष का अपने समय की विघटन-प्रक्रिया में द्वन्द्वात्मक अन्वेषण और उसका रचा जाना। घर-परिवार से अछूता संसार कोई संसार नहीं होता, अगर होता है तो वह कुसुम खेमानी का नहीं है। उनका यह कथा-संग्रह 'अनुगूँज जि़न्दगी की’ घर-परिवार और उससे जुड़े तमाम रिश्तों का ऐसा कथा-संसार है जो अपनी ज़मीन पर अपनी जड़ों के साथ है। इसके बावजूद अपनी हज़ारों क़िस्म की विसंगतियों और विडम्बनाओं से तो घिरा ही है, ऊपर से बदलते युग में न तो पूरी तरह आधुनिक हो पा रहा, न उत्तर-आधुनिक। कुसुम खेमानी इन्हीं जटिलताओं से कथा में टकराती हैं और टकराते हुए कई बार जोखिम भी उठाती हैं। निस्सन्देह, इस संग्रह की उपस्थिति एक ऐसी उपस्थिति है जिससे हिन्दी कथा-साहित्य में जीवन, प्रेम और उसके मूल्य; संघर्ष, सम्पूर्णता और उसकी चेतना जिस संवेदन-सघनता की सृष्टि रचते हैं, वह सृष्टि अपने संश्लिष्ट यथार्थ की ज़मीन पर अपने लोक और उसकी स्मृतियों की उम्मीद के साथ दर्ज होती है। Kusum khemani apne katha-sahitya ke liye manushya ke parishkar se samaj-sanskriti ka parishkar aur samaj-sanskriti ke parishkar se manushya ke parishkar ka vidhan aur vitan jis kalatmakta se rachti hain, vah adbhut hi nahin, vilakshan hai. Vilakshan hai ek purush ke bhitar ek stri aur ek stri ke bhitar ek purush ka apne samay ki vightan-prakriya mein dvandvatmak anveshan aur uska racha jana. Ghar-parivar se achhuta sansar koi sansar nahin hota, agar hota hai to vah kusum khemani ka nahin hai. Unka ye katha-sangrah anugunj jindgi ki’ ghar-parivar aur usse jude tamam rishton ka aisa katha-sansar hai jo apni zamin par apni jadon ke saath hai. Iske bavjud apni hazaron qism ki visangatiyon aur vidambnaon se to ghira hi hai, uupar se badalte yug mein na to puri tarah aadhunik ho pa raha, na uttar-adhunik. Kusum khemani inhin jatiltaon se katha mein takrati hain aur takrate hue kai baar jokhim bhi uthati hain. Nissandeh, is sangrah ki upasthiti ek aisi upasthiti hai jisse hindi katha-sahitya mein jivan, prem aur uske mulya; sangharsh, sampurnta aur uski chetna jis sanvedan-saghanta ki srishti rachte hain, vah srishti apne sanshlisht yatharth ki zamin par apne lok aur uski smritiyon ki ummid ke saath darj hoti hai.
- Sabr– Your order is usually dispatched within 24 hours of placing the order.
- Raftaar– We offer express delivery, typically arriving in 2-5 days. Please keep your phone reachable.
- Sukoon– Easy returns and replacements within 7 days.
- Dastoor– COD and shipping charges may apply to certain items.
Use code FIRSTORDER to get 10% off your first order.
Use code REKHTA10 to get a discount of 10% on your next Order.
You can also Earn up to 20% Cashback with POP Coins and redeem it in your future orders.