Aadhunikata Aur Hindi Sahitya
Author | Indranath Madan |
Publisher | Rajkamal |
Item Weight | 0.5 kg |
Aadhunikata Aur Hindi Sahitya
आधुनिकता की दृष्टि से हिन्दी कविता, कहानी, उपन्यास और नाटक की यह शायद पहली पहचान है। क्या इसकी परख हो भी सकती है या नहीं? इस सवाल को जगह-जगह उठाया गया है। आधुनिकता का बोध क्या है, इसे अनेक दृष्टियों से पहचानने की कोशिश की गई है। क्या इसे देश की कसौटी पर परखना संगत है या काल की कसौटी पर या देश-काल दोनों की कसौटी पर? क्या इसे ऐतिहासिक दृष्टि से आँकना सही है? क्या इसमें निरन्तरता को खोजा और पाया जा सकता है या अनिरन्तरता को? निरन्तरता किसकी या अनिरन्तरता किसकी? क्या आधुनिकता की प्रक्रिया के एक से अधिक दौर कविता, कहानी आदि में आए हैं? यदि आए हैं तो किस तरह, कैसे और कहाँ? इसकी शुरुआत कहाँ से होती है? आधुनिकता की प्रक्रिया और नगरीकरण की प्रक्रिया में क्या परस्पर सम्बन्ध है या आधुनिकता-बोध और नगर-बोध में क्या आपसी सम्बन्ध है? आधुनिकता और आधुनिकतावाद में क्या अन्तर है? क्या रचना-विशेष के अन्त:बोध के आधार पर आधुनिकता की पहचान हो सकती है? पाश्चात्य साहित्य में आधुनिकता की परख कहाँ तक संगत है? इस तरह के पेचीदा सवालों के जवाब कविता, कहानी, उपन्यास, नाटक में पाना बेहतर होगा। आलोचक को यह भी लगा है कि मात्र आधुनिकता के बोध से कृति न तो कभी बनी है और न ही बन सकती है। इसलिए जिन रचनाओं को आधुनिकता की पहचान के लिए आधार बनाया गया है, उनका कृति होना लाज़मी नहीं है। Aadhunikta ki drishti se hindi kavita, kahani, upanyas aur natak ki ye shayad pahli pahchan hai. Kya iski parakh ho bhi sakti hai ya nahin? is saval ko jagah-jagah uthaya gaya hai. Aadhunikta ka bodh kya hai, ise anek drishtiyon se pahchanne ki koshish ki gai hai. Kya ise desh ki kasauti par parakhna sangat hai ya kaal ki kasauti par ya desh-kal donon ki kasauti par? kya ise aitihasik drishti se aankana sahi hai? kya ismen nirantarta ko khoja aur paya ja sakta hai ya anirantarta ko? nirantarta kiski ya anirantarta kiski? kya aadhunikta ki prakriya ke ek se adhik daur kavita, kahani aadi mein aae hain? yadi aae hain to kis tarah, kaise aur kahan? iski shuruat kahan se hoti hai? aadhunikta ki prakriya aur nagrikran ki prakriya mein kya paraspar sambandh hai ya aadhunikta-bodh aur nagar-bodh mein kya aapsi sambandh hai? aadhunikta aur aadhuniktavad mein kya antar hai? kya rachna-vishesh ke ant:bodh ke aadhar par aadhunikta ki pahchan ho sakti hai? pashchatya sahitya mein aadhunikta ki parakh kahan tak sangat hai? is tarah ke pechida savalon ke javab kavita, kahani, upanyas, natak mein pana behtar hoga. Aalochak ko ye bhi laga hai ki matr aadhunikta ke bodh se kriti na to kabhi bani hai aur na hi ban sakti hai. Isaliye jin rachnaon ko aadhunikta ki pahchan ke liye aadhar banaya gaya hai, unka kriti hona lazmi nahin hai.
- Sabr– Your order is usually dispatched within 24 hours of placing the order.
- Raftaar– We offer express delivery, typically arriving in 2-5 days. Please keep your phone reachable.
- Sukoon– Easy returns and replacements within 7 days.
- Dastoor– COD and shipping charges may apply to certain items.
Use code FIRSTORDER to get 10% off your first order.
Use code REKHTA10 to get a discount of 10% on your next Order.
You can also Earn up to 20% Cashback with POP Coins and redeem it in your future orders.