Look Inside
Lakkarbagghe Shahar Mein
Lakkarbagghe Shahar Mein

Lakkarbagghe Shahar Mein

Regular price ₹ 125
Sale price ₹ 125 Regular price ₹ 125
Unit price
Save 0%
Tax included.
Size guide

Pay On Delivery Available

Rekhta Certified

7 Day Easy Return Policy

Lakkarbagghe Shahar Mein

Lakkarbagghe Shahar Mein

Cash-On-Delivery

Cash On Delivery available

Plus (F-Assured)

7-Days-Replacement

7 Day Replacement

Product description
Shipping & Return
Offers & Coupons
Read Sample
Product description
लकड़बग्घे : शहर में - 'लकड़बग्घे : शहर में' विक्रम सिंह का दूसरा कविता संग्रह है। इन कविताओं का मूल आशय अपसंस्कृत और आसामाजिक होते जाते मनुष्य के वास्तविक चरित्र को उजागर करना है। कवि के सरोकार बेहद स्पष्ट हैं। जहाँ वह सृष्टि की सुन्दरतम रचना को कुरूप होते देखता है वहाँ वह अपना हार्दिक दुख व्यक्त करता है तथा समाज के विद्रूपित यथार्थ को देखकर वह अन्दर तक तिलमिलाता है और ग़लत का प्रतिकार करता है। यहाँ हम मानवीय सद्इच्छाओं के साथ ही रचनाकार के मानसिक संघर्ष को देख सकते हैं। उसकी मुख्य चिन्ता मनुष्य में पशुत्व के स्वाभाविक अंश की आलोचना नहीं; पशुओं का मनुष्य वेश में खुलेआम विचरण करना है। यह सामाजिक विसंगति ही है कि अपने आचरण में पशुवत् व्यवहार करने वाले मनुष्य होने का दिखावा करते हैं और साथ ही अपने सिद्धान्तों पर चलकर सद्भावपूर्वक जीने की इच्छा रखने वाले निर्दोष मनुष्यों का निर्मम संहार करते हैं। इतना ही नहीं ऐसे भ्रष्ट लोग समाज के प्रतिष्ठित, भद्र, और कथित रूप से उदार व्यक्ति माने जाते हैं। ऐसे में कवि का यह दुख कि परिवर्तन का भी सामाजिक शक्तियाँ संगठित होकर अन्याय-अत्याचार का प्रखर विरोध नहीं करती और 'अन्धविश्वासों की अफीम खाकर सोये हुए ढूँढ़ रहे हैं हम/ मानवीय समस्याओं के दैवीय हल नहीं मालूम है हमें लौकिक समस्याओं के हल लौकिक ही होते हैं।' ऐसी यथार्थवादी जीवन-दृष्टि रखने वाला कवि ही दुनिया पर विश्वास रखता है और घोषित करता है- 'जगत् मिथ्या नहीं है/जीवन-सच यही है।' उसका स्पष्ट मत है कि 'परलोक की बजाय अब भूलोक पर आना चाहिए।' यह जीवन का सच्चा स्वीकार है। lakaDbagghe : shahar meinlakaDbagghe : shahar men vikram sinh ka dusra kavita sangrah hai. in kavitaon ka mool ashay apsanskrit aur asamajik hote jate manushya ke vastvik charitr ko ujagar karna hai. kavi ke sarokar behad spasht hain. jahan vah srishti ki sundartam rachna ko kurup hote dekhta hai vahan vah apna hardik dukh vyakt karta hai tatha samaj ke vidrupit yatharth ko dekhkar vah andar tak tilamilata hai aur ghalat ka pratikar karta hai.

yahan hum manviy sadichchhaon ke saath hi rachnakar ke mansik sangharsh ko dekh sakte hain. uski mukhya chinta manushya mein pashutv ke svabhavik ansh ki alochna nahin; pashuon ka manushya vesh mein khuleam vichran karna hai. ye samajik visangati hi hai ki apne achran mein pashuvat vyavhar karne vale manushya hone ka dikhava karte hain aur saath hi apne siddhanton par chalkar sadbhavpurvak jine ki ichchha rakhne vale nirdosh manushyon ka nirmam sanhar karte hain. itna hi nahin aise bhrasht log samaj ke prtishthit, bhadr, aur kathit roop se udar vyakti mane jate hain.

aise mein kavi ka ye dukh ki parivartan ka bhi samajik shaktiyan sangthit hokar anyay atyachar ka prkhar virodh nahin karti aur

andhvishvason ki aphim khakar soye hue DhoonDh rahe hain ham/ manviy samasyaon ke daiviy hal nahin malum hai hamein laukik samasyaon ke hal laukik hi hote hain. aisi yatharthvadi jivan drishti rakhne vala kavi hi duniya par vishvas rakhta hai aur ghoshit karta hai jagat mithya nahin hai/jivan sach yahi hai. uska spasht mat hai ki parlok ki bajay ab bhulok par aana chahiye. ye jivan ka sachcha svikar hai.

Shipping & Return
  • Sabr– Your order is usually dispatched within 24 hours of placing the order.
  • Raftaar– We offer express delivery, typically arriving in 2-5 days. Please keep your phone reachable.
  • Sukoon– Easy returns and replacements within 7 days.
  • Dastoor– COD and shipping charges may apply to certain items.

Offers & Coupons

Use code FIRSTORDER to get 10% off your first order.


Use code REKHTA10 to get a discount of 10% on your next Order.


You can also Earn up to 20% Cashback with POP Coins and redeem it in your future orders.

Read Sample

Customer Reviews

Be the first to write a review
0%
(0)
0%
(0)
0%
(0)
0%
(0)
0%
(0)

Related Products

Recently Viewed Products