Bhoomika
Author | Amrita Bharti |
Language | Hindi |
Publisher | Vani Prakashan |
Pages | 176 |
ISBN | 978-9389012620 |
Book Type | Paperback |
Item Weight | 0.3 kg |
Dimensions | 5.30\"x8.50\" |
Edition | 1st |
Bhoomika
अमृता भारती, मेरे विचार में, शायद आधुनिक हिन्दी कविता के पटल पर सबसे अकेला हस्ताक्षर हैं। अकेला और अनूठा। बहत वर्ष पहले जब उनकी कविताओं को पढ़ने का संयोग मिला था, तो गहरी विचलन की अनुभूति हुई थी। बिम्बों का इतना विचित्र संयोजन पहले किसी हिन्दी कविता में नहीं देखा था। यहाँ ऐन्द्रिक मांसलता और अस्तित्वगत विकलता का अद्भुत मिश्रण था। आध्यात्मिक सुर्रियलिज़्म ? यदि ऐसी कोई चीज़ है, तो ये दो शब्द अमृता भारती के काव्य-संसार को सबसे सशक्त रूप से अभिव्यक्त करते हैं। कविता में आत्मबोध की प्राप्ति शायद एक 'असाधारण जीवट प्रयास लिए होती है; अमृता ने उस 'असाधारण' को जिस कुशलता से अपनी नयी कविताओं में साधा है, वहाँ एक साधक और कवि के बीच का अन्तर मिट जाता है। आज की हिन्दी कविता में यह एक ऐसा अप्रत्याशित मोड़ है, जिसे विलक्षण ही कहा जा सकता है। - निर्मल वर्मा amrita bharti, mere vichar mein, shayad adhunik hindi kavita ke patal par sabse akela hastakshar hain. akela aur anutha. bahat varsh pahle jab unki kavitaon ko paDhne ka sanyog mila tha, to gahri vichlan ki anubhuti hui thi. bimbon ka itna vichitr sanyojan pahle kisi hindi kavita mein nahin dekha tha. yahan aindrik mansalta aur astitvgat vikalta ka adbhut mishran tha. adhyatmik surriylizm ? yadi aisi koi cheez hai, to ye do shabd amrita bharti ke kavya sansar ko sabse sashakt roop se abhivyakt karte hain. kavita mein atmbodh ki prapti shayad ek asadharan jivat pryaas liye hoti hai; amrita ne us asadharan ko jis kushalta se apni nayi kavitaon mein sadha hai, vahan ek sadhak aur kavi ke beech ka antar mit jata hai. aaj ki hindi kavita mein ye ek aisa apratyashit moD hai, jise vilakshan hi kaha ja sakta hai. nirmal varma
- Sabr– Your order is usually dispatched within 24 hours of placing the order.
- Raftaar– We offer express delivery, typically arriving in 2-5 days. Please keep your phone reachable.
- Sukoon– Easy returns and replacements within 7 days.
- Dastoor– COD and shipping charges may apply to certain items.
Use code FIRSTORDER to get 10% off your first order.
Use code REKHTA10 to get a discount of 10% on your next Order.
You can also Earn up to 20% Cashback with POP Coins and redeem it in your future orders.