Bastar Ki Aadivasi Evam Lok Hastshilp Parampara
Author | Harihar Vaishnav |
Publisher | Rajkamal |
Item Weight | 0.0 kg |
Bastar Ki Aadivasi Evam Lok Hastshilp Parampara
कोई भी शिल्प या कला केवल शिल्प या कला नहीं होती, वह इतिहास को भी अपने भीतर समेटे होती है और वर्तमान को भी उसी तरह सामने रखती है, उसे प्रतिबिम्बित करती है। इतना ही नहीं, हम उसमें सम्बन्धित समाज का भविष्य भी देख-पढ़ सकते हैं। कहना ग़लत न होगा कि आदिवासी एवं लोक हस्तशिल्पों में उनका कल्पना-लोक बहुत ही प्रभावशाली ढंग से रूपायित होता और अहम् भूमिका निभाता दिखलाई पड़ता है।
बस्तर अंचल के हस्तशिल्प, चाहे वे आदिवासी हस्तशिल्प हों या लोक हस्तशिल्प, दुनिया-भर के कलाप्रेमियों का ध्यान आकृष्ट करने में सक्षम रहे हैं! कारण, इनमें इस आदिवासी बहुल अंचल की आदिम संस्कृति की सोंधी महक बसी रही है। यह शिल्प-परम्परा और उसकी तकनीक बहुत पुरानी है। शिल्प का यह ज्ञान बहुत पुराना और पारम्परिक है, किन्तु इस ज्ञान का लिखित स्वरूप अब तक नहीं मिल पाया था।
यही कारण है कि बस्तर अंचल में जन्मे, पले, बढ़े और सतत जिज्ञासु साहित्यकार-लेखक और संस्कृतिकर्मी हरिहर वैष्णव को यह लगा कि न केवल बस्तर, अपितु देश के अन्य भागों में विभिन्न हस्तशिल्प विधाओं से जुड़े शिल्पियों के पास शिल्प और उसकी परम्परा से सम्बन्धित जो मौखिक ज्ञान है, वह किसी-न-किसी तरह अगली पीढ़ी तक हस्तान्तरित होना चाहिए। श्री वैष्णव के पास यहाँ के आदिवासी एवं लोक हस्तशिल्पियों से सम्बद्ध विभिन्न लोगों से बातचीत के दौरान पहले से एकत्र थोड़ी-बहुत सामग्री तो थी और कच्ची भी। अपनी इस नहीं के बराबर और कच्ची जानकारी को उन्होंने सम्बन्धित शिल्पियों से कई-कई बार मिलकर तथा सहभागी अवलोकन आदि के द्वारा और अधिक समृद्ध करने का प्रयास किया। विश्वास है कि बस्तर के आदिवासी एवं लोक हस्तशिल्प तथा इसकी परम्परा में रुचि रखनेवाले कलाप्रेमियों तथा अध्येताओं के लिए यह पुस्तक उपयोगी सिद्ध होगी। Koi bhi shilp ya kala keval shilp ya kala nahin hoti, vah itihas ko bhi apne bhitar samete hoti hai aur vartman ko bhi usi tarah samne rakhti hai, use pratibimbit karti hai. Itna hi nahin, hum usmen sambandhit samaj ka bhavishya bhi dekh-padh sakte hain. Kahna galat na hoga ki aadivasi evan lok hastshilpon mein unka kalpna-lok bahut hi prbhavshali dhang se rupayit hota aur aham bhumika nibhata dikhlai padta hai. Bastar anchal ke hastshilp, chahe ve aadivasi hastshilp hon ya lok hastshilp, duniya-bhar ke kalapremiyon ka dhyan aakrisht karne mein saksham rahe hain! karan, inmen is aadivasi bahul anchal ki aadim sanskriti ki sondhi mahak basi rahi hai. Ye shilp-parampra aur uski taknik bahut purani hai. Shilp ka ye gyan bahut purana aur paramprik hai, kintu is gyan ka likhit svrup ab tak nahin mil paya tha.
Yahi karan hai ki bastar anchal mein janme, pale, badhe aur satat jigyasu sahitykar-lekhak aur sanskritikarmi harihar vaishnav ko ye laga ki na keval bastar, apitu desh ke anya bhagon mein vibhinn hastshilp vidhaon se jude shilpiyon ke paas shilp aur uski parampara se sambandhit jo maukhik gyan hai, vah kisi-na-kisi tarah agli pidhi tak hastantarit hona chahiye. Shri vaishnav ke paas yahan ke aadivasi evan lok hastshilpiyon se sambaddh vibhinn logon se batchit ke dauran pahle se ekatr thodi-bahut samagri to thi aur kachchi bhi. Apni is nahin ke barabar aur kachchi jankari ko unhonne sambandhit shilpiyon se kai-kai baar milkar tatha sahbhagi avlokan aadi ke dvara aur adhik samriddh karne ka pryas kiya. Vishvas hai ki bastar ke aadivasi evan lok hastshilp tatha iski parampara mein ruchi rakhnevale kalapremiyon tatha adhyetaon ke liye ye pustak upyogi siddh hogi.
- Sabr– Your order is usually dispatched within 24 hours of placing the order.
- Raftaar– We offer express delivery, typically arriving in 2-5 days. Please keep your phone reachable.
- Sukoon– Easy returns and replacements within 7 days.
- Dastoor– COD and shipping charges may apply to certain items.
Use code FIRSTORDER to get 10% off your first order.
Use code REKHTA10 to get a discount of 10% on your next Order.
You can also Earn up to 20% Cashback with POP Coins and redeem it in your future orders.