Look Inside
Soot Ki Antrang Kahani
Soot Ki Antrang Kahani

Soot Ki Antrang Kahani

Regular price ₹ 1,300
Sale price ₹ 1,300 Regular price ₹ 1,300
Unit price
Save 0%
Tax included.
Size guide

Pay On Delivery Available

Rekhta Certified

7 Day Easy Return Policy

Soot Ki Antrang Kahani

Soot Ki Antrang Kahani

Cash-On-Delivery

Cash On Delivery available

Plus (F-Assured)

7-Days-Replacement

7 Day Replacement

Product description
Shipping & Return
Offers & Coupons
Read Sample
Product description
सूत की अन्तरंग कहानी - जैसे कपड़े में सूत और सूत में कपास ओतप्रोत रहता है, ऐसे ही कपड़ा, सूत और कपास बहुत ही प्राचीन काल से मनुष्य के जीवन में ओतप्रोत रहे हैं। जीवन में इनके रमाव को समझ कर प्राचीन काल से ही ज्ञानियों, मुनियों और ऋषियों ने अपने वचनों, गाथाओं, मन्त्रों और सूक्तों में कपड़े सूत और कपास के बिम्ब पिरोये। ऋग्वेद के कवि कहते हैं कि हम मन्त्रों को ऐसे ही रचते चलते हैं, जैसे जुलाहे करघे पर कपड़े को आकार देते हैं (वस्त्रेण भद्रा सुकृता वसूयू)। सूत और कपड़ा समाज में तरह-तरह के अनुष्ठानों में विनियुक्त होते रहे हैं। साथ ही उनकी व्याप्ति जीवन के आधिभौतिक स्तर तक की ही नहीं, आधिदैविक और आध्यात्मिक स्तरों का भी स्पर्श करती चली जाती है। समाज की ओर से नवजात शिशु को कपड़ा पहनाना भी बहुत महत्त्वपूर्ण रस्म होती थी। अश्वारोहण की रस्म के साथ वह रस्म की जाती थी। शिशु को वस्त्र पहनाते हुए कहा जाता था कि यह वस्त्र बृहस्पति ने पहनने के लिये दिया है। इसे पहन कर यह शिशु दीर्घजीवी होगा। सोम देवता के पहनने के लिये भी यही वस्त्र है। सूत्र या धागा दर्शन, व्याकरण आदि अनुशासनों में भी सूत्र के रूप में पिरोया हुआ है। छहों दर्शनों के ग्रन्थ सूत्र हैं, पाणिनि की अष्टाध्यायी भी सूत्रों में पिरोयी हुई है। सूत की हमारी चेतना से आरम्भ कर घर, परिवार, समाज, बाज़ार तक व्याप्ति की पहचान कराते हुए गोपाल कमल ने कपास, सूत, कपड़े की दुनिया के द्वारा विराट् विश्व को समझने का उपक्रम किया है। उनका यह अनोखा काम आँखें खोल देनेवाला है। आशा है, यह पढ़ा, समझा और सराहा जायेगा। —राधावल्लभ त्रिपाठी soot ki antrang kahanijaise kapDe mein soot aur soot mein kapas otaprot rahta hai, aise hi kapDa, soot aur kapas bahut hi prachin kaal se manushya ke jivan mein otaprot rahe hain. jivan mein inke ramav ko samajh kar prachin kaal se hi gyaniyon, muniyon aur rishiyon ne apne vachnon, gathaon, mantron aur sukton mein kapDe soot aur kapas ke bimb piroye. rigved ke kavi kahte hain ki hum mantron ko aise hi rachte chalte hain, jaise julahe karghe par kapDe ko akar dete hain (vastren bhadra sukrita vasuyu). soot aur kapDa samaj mein tarah tarah ke anushthanon mein viniyukt hote rahe hain. saath hi unki vyapti jivan ke adhibhautik star tak ki hi nahin, adhidaivik aur adhyatmik stron ka bhi sparsh karti chali jati hai. samaj ki or se navjat shishu ko kapDa pahnana bhi bahut mahattvpurn rasm hoti thi. ashvarohan ki rasm ke saath vah rasm ki jati thi. shishu ko vastra pahnate hue kaha jata tha ki ye vastra brihaspati ne pahanne ke liye diya hai. ise pahan kar ye shishu dirghjivi hoga. som devta ke pahanne ke liye bhi yahi vastra hai.
sootr ya dhaga darshan, vyakran aadi anushasnon mein bhi sootr ke roop mein piroya hua hai. chhahon darshnon ke granth sootr hain, panini ki ashtadhyayi bhi sutron mein piroyi hui hai. soot ki hamari chetna se arambh kar ghar, parivar, samaj, bazar tak vyapti ki pahchan karate hue gopal kamal ne kapas, soot, kapDe ki duniya ke dvara virat vishv ko samajhne ka upakram kiya hai. unka ye anokha kaam ankhen khol denevala hai. aasha hai, ye paDha, samjha aur saraha jayega. —radhavallabh tripathi

Shipping & Return
  • Sabr– Your order is usually dispatched within 24 hours of placing the order.
  • Raftaar– We offer express delivery, typically arriving in 2-5 days. Please keep your phone reachable.
  • Sukoon– Easy returns and replacements within 7 days.
  • Dastoor– COD and shipping charges may apply to certain items.

Offers & Coupons

Use code FIRSTORDER to get 10% off your first order.


Use code REKHTA10 to get a discount of 10% on your next Order.


You can also Earn up to 20% Cashback with POP Coins and redeem it in your future orders.

Read Sample

Customer Reviews

Be the first to write a review
0%
(0)
0%
(0)
0%
(0)
0%
(0)
0%
(0)

Related Products

Recently Viewed Products