फ़ेह्रिस्त
index
1 ādmī ādmī se miltā hai - Jigar Moradabad
2 aah ko chāhiye ik ‘umr asar hote tak - Mirza Ghalib
3 aahaT sii ko.ii aaye to lagtā hai ki tum ho - Jaan Nisar Akhtar
4 aap jin ke qarīb hote haiñ - Nooh Narvi
5 āshiyāne kii baat karte ho - Javed Quraishi
6 ab chhalakte huye sāġhar nahīñ dekhe jāte - Ali Ahmad Jalili
7 ab ke ham bichh.De to shāyad kabhī... - Ahmad Faraz
8 ab to ghabrā ke ye kahte haiñ ki mar jāyeñge - Sheikh Ibrahim Zauq
9 ai mohabbat tire anjām pe ronā aayā - Shakeel Badayuni
10 ahl-e-ulfat ke havāloñ pe hañsī aatī hai - Sudarshan Fakir
11 ai jazba-e-dil gar maiñ chāhūñ har chiiz... - Behzad Lakhnavi
12 ai mire ham-nashīñ chal kahīñ aur chal is... - Qamar Jalalvi
13 añg.Dā.ī bhii vo lene na pāye uThā ke hāth - Nizam Rampuri
14 āñkhoñ meñ rahā dil meñ utar kar nahīñ dekhā - Bashir Badr
15 āshiyāñ jal gayā, gulsitāñ luT gayā ham... - Raaz Allahabadi
16‘azīz itnā hii rakkho ki jii sambhal jāye - Obaidullah Aleem
17 baat karnī mujhe mushkil kabhī aisī to na thii - Bahadur Shah Zafar
18 bechain bahut phirnā ghabrāye huye rahnā - Muneer Niyazi
19 bhūlne vāle se ko.ii kah de zarā is tarah yaad... - -Shamim Dehlvi
20 chale to kaT hii jāyegā safar āhista āhista - Mustafa Zaidi
21 chupke chupke raat din āñsū bahānā yaad hai - Hasrat Mohani
22 dekh to dil ki jaañ se uThtā hai - Meer Taqi Meer
23 der lagī aane meñ tum ko shukr hai phir... - Andaleeb Shadani
24 dil ‘ishq meñ be-pāyāñ saudā ho to aisā ho - Ibn E Insha
25 dil meñ ik lahr sii uThī hai abhī - Nasir Kazmi
26 dil-e-nādāñ tujhe hu.aa kyaa hai - Mirza Ghalib
27 dīvāna banānā hai to dīvāna banā de - Behzad Lakhnavi
28 dīvāroñ se mil kar ronā achchhā lagtā hai - Qaisarul Jafri
29 donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke - Faiz Ahmad Faiz
30 duniyā ke sitam yaad na apnī hii vafā yaad - Jigar Moradabadi
31 duniyā meñ huuñ duniyā kaa talabgār... - Akbar Allahabadi
32 duur se aaye the sāqī sun ke mai-KHāne... - Nazeer Akbarabadi
33 fāsle aise bhii hoñge ye kabhī sochā na thaa - Adeem Hashmi
34 gaye dinoñ kaa surāġh le kar kidhar se aayā... - Nasir Kazmi
35 garmi-e-hasrat-e-nākām se jal jāte haiñ - Qateel Shifai
36 gesū-e-tābdār ko aur bhii tābdār kar - Allama Iqbal
37 ġham-e-‘āshiqī se kah do rah-e-‘aam tak... - Shakeel Badayuni
38 go zarā sii baat par barsoñ ke yārāne gaye - Khatir Ghaznavi
39 guloñ meñ rañg bhare baad-e-nau-bahār chale - Faiz Ahmad Faiz
40 ham ko kis ke ġham ne mārā ye kahānī phir sahī - Masroor Anwar
41 hameñ ko.ii ġham nahīñ thaa ġham-e-‘āshiqī... - Fayyaz Hashmi
42 hañgāma hai kyūñ barpā tho.Dī sii jo pii lii hai - Akbar Allahabadi
43 hazāroñ KHvāhisheñ aisī ki har KHvāhish... - Mirza Ghalib
44 hoñToñ pe kabhī un ke mirā naam hii aaye - Ada Jafarey
45‘inshā’-jii uTho ab kūch karo is shahr meñ... - Ibn E Insha
46‘ishq meñ ġhairat-e-jazbāt ne rone na diyā - Sudarshan Fakir
47‘ishq meñ kyaa batāyeñ ki donoñ kis qadar... - Akhlaq Saghari
48‘ishq meñ kyaa kyaa mere junūñ kii kii na... - Zafar Gorakhpuri
49‘ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo... - Shah Niyaz Ahmad Barelvi
50 jab se tuu ne mujhe dīvāna banā rakkhā hai - Hakeem Nasir
ādmī ādmī se miltā hai
dil magar kam kisī se miltā hai
bhūl jātā huuñ maiñ sitam us ke
vo kuchh is sādgī se miltā hai
aaj kyaa baat hai ki phūloñ kaa
rañg terī hañsī se miltā hai
silsila fitna-e-qayāmat1 kaa
terī KHush-qāmtī2 se miltā hai
mil ke bhii jo kabhī nahīñ miltā
TuuT kar dil usii se miltā hai
kārobār-e-jahāñ3 sañvarte haiñ
hosh jab be-KHudī4 se miltā hai
ruuh ko bhii mazā mohabbat kaa
dil kii ham-sāyegī5 se miltā hai
JIGAR MORADABADI
(1890 - 1960)
- Calamity of doomsday 2. Good height 3. Business of the world 4. Ecstasy 5. Neighbouring
People do meet people far and wide,
But ‘tis rare for hearts to coincide
I forget her acts of cruelty;
She meets me with such humility
What is it today, that flowers’ hues
With the colour of your smile do fuse?
The disruptiveness of judgement day
Your charming height closely doth portray
Even though we meet, she’ll ne’er be mine;
‘Twards her doth this broken heart incline
The world’s business then appears all fine,
When stupor and consciousness combine!
Love’s delight the soul too doth obtain,
Due to closeness of the heart’s domain
2
aah ko chāhiye ik ‘umr asar hote tak
kaun jītā hai tirī zulf ke sar hote tak
daam-e-har-mauj1 meñ hai halqa-e-sad-kaam-e-nahañg2
dekheñ kyaa guzre hai qatre pe guhar hote tak
‘āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb
dil kaa kyaa rañg karūñ KHūn-e-jigar3 hote tak
ham ne mānā ki taġhāful4 na karoge lekin
KHāk ho jāyeñge ham tum ko KHabar hote tak
partav-e-KHur5 se hai shabnam ko fanā kii tā’līm
maiñ bhii huuñ ek ‘ināyat6 kii nazar hote tak
yak nazar besh nahīñ fursat-e-hastī7 ġhāfil
garmi-e-bazm8 hai ik raqs-e-sharar9 hote tak
ġham-e-hastī10 kaa ‘asad’ kis se ho juz11 marg ‘ilāj
sham’ har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak
MIRZA GHALIB
(1797 - 1869)
- Net of waves 2. Chain of crocodiles 3. Death of patience 4. Negligence 5. Sun’s reflection 6. Favor 7. Duration of Life 8. Enthusiasm of gathering 9. Dance of sparks 10. Sorrows of life 11. Except
A prayer needs a lifetime, an answer to attain;
Who could live until the time that you decide to deign?
Waves present such dangers, such threats the seas contain;
Until it becomes a pearl, so much confronts a grain
Love requires patience and desire gives such strain;
As long as my ache exists, how shall my heart sustain?
You will not ignore me, I know, but, then again,
I will turn to ashes, your favour till I gain
From the sun’s intensity, death’s knowledge dewdrops gain;
Till the time a glance I get, I too shall remain
Life’s duration will not more than a glance remain;
While the spark is dancing, the warmth too will sustain
Save death, what released, Asad, from this life of pain?
The Lamp burns in every hue till dawn arrives again
aahaT sii ko.ii aaye to lagtā hai ki tum ho
sāya ko.ii lahrāye to lagtā hai ki tum ho
jab shāKH ko.ii hāth lagāte hii chaman meñ
sharmāye lachak jāye to lagtā hai ki tum ho
sandal se mahaktī hu.ii pur-kaif1 havā kaa
jhoñkā ko.ii Takrāye to lagtā hai ki tum ho
o.Dhe huye tāroñ kii chamaktī hu.ii chādar
naddī ko.ii bal khāye to lagtā hai ki tum ho
jab raat gaye ko.ii kiran mere barābar
chup-chāp sii so jāye to lagtā hai ki tum ho
Jaan Nisar Akhtar
(1914 - 1976)
- Full of intoxication
Of a tread, if there’s sound, I feel that it’s you;
If a shadow sways around, I feel that it’s you
As soon as I touch a branch in the garden’s milieu,
If bashfully it tends to droop, I feel that it’s you
If the scent of sandalwood its being doth imbue,
And if some breeze brushes by, I feel that it’s you
With a shining coverlet of stars shining through,
If a river undulates, I feel that it’s you
Late at night when some moonbeam next to me I view,
Going silently to sleep, I feel that it’s you
4
aap jin ke qarīb hote haiñ
vo ba.De KHush-nasīb hote haiñ
jab tabī’at1 kisī par aatī hai
maut ke din qarīb hote haiñ
mujh se milnā phir aap kaa milnā
aap kis ko nasīb hote haiñ
zulm sah kar jo uf nahīñ karte
un ke dil bhii ‘ajīb hote haiñ
‘ishq meñ aur kuchh nahīñ miltā
saik.Doñ ġham nasīb hote haiñ
‘nuuh’ kii qadr ko.ii kyaa jāne
kahīñ aise adīb2 hote haiñ
nooh narvi
(1878 - 1962)
- Temperament 2. Literary figure
They with whom you’re intimate,
They are truly fortunate
When t’wards someone one is drawn,
Days of death are ‘bout to dawn
Meeting me, and that you too?
Who’s destined to be with you?
Silent, those who bear torment -
Their hearts too have a strange bent
Naught in love doth one obtain,
Save countless sorrows and pain
Nooh’s qualities, who would scan?
Is there such a lettered man?
5
āshiyāne kii baat karte ho
dil jalāne kii baat karte ho
sārī duniyā ke ranj-o-ġham1 de kar
muskurāne kii baat karte ho
ham ko apnī KHabar nahīñ yāro
tum zamāne kii baat karte ho
zikr merā sunā to chi.Dh ke kahā
kis divāne kii baat karte ho
hādsa2 thaa guzar gayā hogā
kis ke jāne kii baat karte ho
Javed Quraishi
(-2014)
- Grief and sorrow 2. Accident
You talk about refuges again:
You talk about things that cause me pain
Giving me all sorrows of the world,
Smiling, now you ask me to remain
Friends, I have no news about myself;
You talk to me about the world, in vain
At mention of me, chagrined, she asked:
Who do you talk about? That one insane?
‘Twas an accident, it would have passed:
Of whose leaving do you speak again?